02

Chapter- 1

500 years pehle woh dono ek dusre se bahot pyaar karte the. lekin rooh aur rihansh dono ek dusre ki jaan the. Rihansh ek devil tha or rooh ek devils ki raani. Queen of devils. Dono mein pyaar hua or ek kahani bani lekin inke pyaar inke dushmano ki wajah se khatam ho gaya. Unhone rihansh ko maar diya uska rooh ne bahot berehmi se liya tha..

Uss din se lekar aaj tak rooh intezaar kar rhi thi ki rihansh ka punarjanam hoga or 500 saal baad delhi mein rihansh ko janam ek bahot hi rich family mein hua lekin iss baar woh ek insaan tha. Iss baat ki rooh ko bahot khush hui. Iss janam mein uska naam hriyaksh tha. Aaj hridyaksh 30 saal ka hai or in 30 saalo mein ek raat bhi aisi nhi gayi ki hridyaksh ko yeh ehsaas na hua ki uske pass koi hai. Hridyaksh ko har raat yeh ehsaas hota tha ki uske pass koi hai. Uska koi peechha kar rha hai. Use koi chhoo rha hai.

Present mein hridyaksh ek bahot bada business man hai. Woh office mein bahot cold or rude tha. Hridyaksh ek employees ek business deal ke baare mein discuss kar rha tha

Hridyaksh- kuch bhi ho jaaye. Kitna hi amount lag jaaye lekin yeh deal mujhe kisi bhi keemat par chahiye. Nhi toh tumhari khair nhi. Samjhe..?

Employee- y-yes sir..

Employees uske baad waha se chala jaata hai. Hridyaksh office mein akela reh jaata hai. Yeh time raat ka tha sabke ghar jaane ka. Hridyaksh ke office ke peeche ek jungle tha. Suddenly use waha se aawaj aati hai.

Voice like this...... Rihansh mere rihansh. Mere pass aa jao. Itne saalo se intezaar kiya hai. Apni rooh ko or intezaar mat karao.

Aisa sunkar hridyaksh shocked ho jaata hai or thoda sa dar bhi jaata hai.

Hridyaksh- yeh rihansh kon hai or kyu mujhe humesha yeh aawaj jaani pehchaani lagti hai. Kon hai yeh rihansh or kyu sirf mujhe hi yeh aawaj sunai deti hai. Kisi or kyu nhi

Hridyaksh bahot confused tha ki yeh aawaj sirf use hi kyu sunai deti hai. Hridyaksh office se bahar jaata hai or apni car lekar ghar ki taraf jaane lagta hai. Suddenly car ke saamne ek black kapdo mein ek ladki jiske black wings the saamne aa jaati hai. Hridyaksh jor se break maarta hai. Or upar ki taraf dekhta hai par tab waha koi nhi tha. Woh chaaro taraf dekhta hai lekin waha koi nhi tha.

Hridyaksh dobara car mein baithkar ghar jaane lagta hai. Woh ghar jaate hi seedha apne room mein jaata hai waha apni shirt utarta or bed par lait jaata hai. Uski body itne saalo tak exercise or gym karke bahot hot or muscular ho gayi thi. Hridyaksh bed par lait ta hai.

Suddenly hridyaksh ko apne abs par kisi ki fingers chalne ka ehsaas hota hai.

Hridyaksh in his mind- yeh ehsaas mujhe humesha kyu hota hai. Lekin yaha iss room mein koi nhi hai. Yeh kya ho rha hai mere saath..

Tabhi use sunai deta hai uske ear ke pass kisi ne kuch kaha ' yeh main rihansh.. Tumhari rooh. '

Hridyaksh bed se utata hai or neeche utar jaata hai. Uske forhead par kaaphi sweat aa chuka tha

Hridyaksh- kon ho tum. Or kaha ho. Kyu mujhe pareshaan karti ho...

Ab use kisi ki aawaj sunai nhi deti ai. Hridyaksh bathroom mein jaata hai or shower lekar andar aata hai. Woh sota nhi balki laptop lekar apna work karne lagta hai. Suddenly hridyaksh ki nazar uski shirt par jaati hai jo usne utarkar wahi bed par phek di thi. Par ab woh bilkul sahi se fold ki hui rakhi thi.

Hridyaksh in mind - kyu hai yeh or kyu hai. Yeh pehli baar nhi hai. Main jab koi kaam adhura chhod deta hu woh apne aap pura kaise ho jaata hai. Mere bigda work theek kaise ho jaata hai. Kon hai yeh rooh. Or kon hai yeh rihansh.

Hridyaksh bahot jyada confused tha ki kon hai rooh aur hridyaksh....

Write a comment ...

Write a comment ...